kabhī jo nik.hat-e-zulf-e-nigār aa.ī hai
fazā-e-murda-e-dil meñ bahār aa.ī hai
zarūr terī galī se guzar huā hogā
ki aaj bād-e-sabā be-qarār aa.ī hai
koī dimāġh tasavvur bhī jin kā kar na sake
ye jān-e-zār vo lamhe guzār aa.ī hai
tujhe kuchh us kī ḳhabar bhī hai bhūlne vaale
kisī ko yaad terī baar baar aa.ī hai
ḳhudā-gavāh ki un ke firāq meñ 'kausar'
jo saañs aa.ī hai vo sogvār aa.ī hai