zarf hai kis meñ ki vo saarā jahāñ le kar chale
ham to duniyā se faqat ik dard-e-jāñ le kar chale
aadmī ko chāhiye taufīq chalne kī faqat
kuchh nahīñ to guzre vaqtoñ kā dhuāñ le kar chale
jab bahāreñ bevafā nikleñ to kis ummīd par
intizār-e-gul kī hasrat bāġhbāñ le kar chale
kab muqaddar kā kahāñ kaisā koī manzar bane
ham hathelī par lakīroñ ke makāñ le kar chale
rahbarī kā kuchh salīqa hai na manzil kī ḳhabar
kaun sī jānib ye mīr-e-kārvāñ le kar chale
dekhte haiñ zindagī ko apne hī andāz se
ham jidhar ko chal paḌe ik dāstāñ le kar chale
zulmateñ tārīk shab kī duur karne ke liye
bādaloñ se ham ai 'āzim' bijliyāñ le kar chale