ehsās ke sūkhe patte bhī armānoñ kī chiñgārī bhī
ik dil siine meñ TuuTā sā aur fitrat meñ dildārī bhī
mast umañgoñ ke jhoñke aur faaqa mastī kā aalam
hasrat kī tez havā.eñ bhī ummīd kī ātish-bārī bhī
dil par khole uḌne ke liye uḌne kā magar imkān kahāñ
rokeñ pairoñ kī zanjīreñ pinjre kī chār-divārī bhī
dekhā na tujhe ai rab ham ne haañ duniyā terī dekhī hai
saḌkoñ par bhūke bachche bhī koThe par abla naarī bhī
behāl na ho yuuñ nādāñ dil har haal meñ jiinā hai lāzim
hai raste meñ āsānī bhī majbūrī bhī dushvārī bhī
ik khel musalsal gardish kā dekhā hai ham ne gulshan meñ
phūloñ kā khil kar murjhānā aur kaliyoñ kī kilkārī bhī
manzil pe na pahuñchā jab koī ilzām usī par kyuuñ aa.e
rah-rav ke bhaTakne meñ hai kuchh rahbar kī zimme-dārī bhī
'āzim' terī barbādī meñ sab ne mil-jul kar kaam kiyā
kuchh khel lakīroñ kā bhī hai kuchh vaqt kī kār-guzārī bhī