Aazim Kohli

kidhar ka tha kidhar ka ho gaya hun

Aazim Kohli

kidhar kā thā kidhar kā ho gayā huuñ
musāfir kis safar kā ho gayā huuñ
ḳhudā us ko sadā pur-nūr rakkhe
maiñ taarā jis nazar kā ho gayā huuñ
dhare jā.eñge sab ilzām mujh par
maiñ hissa har ḳhabar kā ho gayā huuñ
mujhe ayyāriyāñ sab aa ga.ī haiñ
maiñ ab tere nagar kā ho gayā huuñ
tirī nazroñ ke ik farmān hī se
maiñ qaidī umr bhar kā ho gayā huuñ
mujhe ab ishq miTTī se nahīñ hai
maiñ āshiq māl-o-zar kā ho gayā huuñ
rivāyat chhoḌ baiThā huuñ maiñ apnī
maiñ dushman apne ghar kā ho gayā huuñ
vo jis ko shā.erī kahte haiñ 'āzim'
maiñ ghāyal us hunar kā ho gayā huuñ
Top Urdushayar.com