subū uThā mire saaqī ki raat jaatī hai
nazar milā mire saaqī ki raat jaatī hai
ki tū manā.e mujhe is liye maiñ rūThā huuñ
mujhe manā mire saaqī ki raat jaatī hai
hai merī jaan mirī jaañ tire tabassum meñ
tū muskurā mire saaqī ki raat jaatī hai
shab-e-visāl kī ḳhushbū fazā kī rañgīnī
kahīñ se lā mire saaqī ki raat jaatī hai
kisī bahār kā naġhma koī suhānī ġhazal
tū gungunā mire saaqī ki raat jaatī hai
phir ik fareb meñ ye shab guzar na jaa.e kahīñ
qasam na khā mire saaqī ki raat jaatī hai
qarīb ho ke bhī 'āzim' ke tū qarīb nahīñ
palaT ke aa mire saaqī ki raat jaatī hai