Aazim Kohli

bahut aziz tha aalam wo dil-figari ka

Aazim Kohli

bahut aziiz thā aalam vo dil-figārī kā
sukūñ ne chhīn liyā lutf be-qarārī kā
hameñ bhī ḳhū thī zamānoñ se dil jalāne kī
unheñ bhī shauq purānā thā shola-bārī kā
diloñ meñ un ke rahā iztirāb roz-o-shab
vo jin ke sar pe rahā bojh tāj-dārī kā
vo jaate jaate mujhe apne ġham bhī sauñp gayā
ajiib Dhañg nikālā hai ġham-gusārī kā
kahā thā tum se ai 'āzim' sambhal sambhal ke chalo
bharam na rakkhā magar tum ne parda-dārī kā
Top Urdushayar.com