Kausar Niyazi

girte hue jab maine tera nam liya hai

Kausar Niyazi

Mianwali, Punjab, Pakistan

girte hue jab maiñ ne tirā naam liyā hai
manzil ne vahīñ baḌh ke mujhe thaam liyā hai
mai-ḳhvār to hai mohtasib-e-shahr ziyāda
rindoñ ne yūñhī muft meñ ilzām liyā hai
vo mil na sake yaad to hai un kī salāmat
is yaad se bhī ham ne bahut kaam liyā hai
har marhala-e-ġham meñ milī is se tasallī
har moḌ pe ghabrā ke tirā naam liyā hai
tujh sā koī rahbar nahīñ ai dūrī-e-manzil
ehsān tirā ham ne bahr-gām liyā hai
ai shaiḳh dil-e-sāf yūñhī to nahīñ miltā
ham ne asar-e-rū-e-dil-ārām liyā hai
sajdoñ meñ vo pahlī se halāvat nahīñ 'kausar'
jab se asar-e-gardish-e-ayyām liyā hai
Top Urdushayar.com