Kausar Niyazi

makDi ke jalon mein kab se qaid hain raushan-dan mare

Kausar Niyazi

Mianwali, Punjab, Pakistan

makḌī ke jāloñ meñ kab se qaid haiñ raushan-dān mire
haa.e kyā socheñge ghar ko dekh ke kal mehmān mire
ab ke baras to dil kī zamīñ par aag falak se barsī hai
fikr kī gandum ke dānoñ se ḳhālī haiñ khaliyān mire
merī zabāñ par maslahatoñ ke pahre haiñ to phir kyā hai
haq ke alam-bardār haiñ ab bhī mazdūr o dahqān mire
aaj hisār-e-dār-o-rasan meñ huuñ par aane vaalā din
shahr kī dīvāroñ par chaspāñ dekhegā farmān mire
shakl-o-shabāhat meñ be-shak kuchh farq zarā sā thā varna
the to masīhā bhī insān aur qātil bhī insān mire
bar-sar-e-ām iqrār agar nā-mumkin hai to yūñhī sahī
kam-az-kam idrāk to kar le gun be-shak mat maan mire
kal 'kausar' mere āñgan meñ raqs-e-bahārāñ thā lekin
aaj taraste haiñ kāġhaz ke phūloñ ko gul-dān mire
Top Urdushayar.com