us ne har mashq-e-sitam ham pe ravā rakkhī hai
ham ne āvāz bhī siine meñ dabā rakkhī hai
qatl-gāhoñ meñ lahū apnā nichhāvar kar ke
sham-e-insāf kī lau ham ne baḌhā rakkhī hai
kahīñ bikhrī haiñ kitābeñ kahīñ maile kapḌe
ghar kī hālat hī ajab ham ne banā rakkhī hai
apne vahshat-zada kamre kī ik almārī meñ
terī tasvīr aqīdat se sajā rakkhī hai
ham kisī baat kā shikva na kareñge 'kausar'
mohar hoñToñ pe ḳhamoshī kī lagā rakkhī hai