bhulāne ke liye raazī tujhe ye dil nahīñ hotā
tabhī to yaad se terī kabhī ġhāfil nahīñ hotā
mohabbat ko abhī tak maiñ ne apnī raaz rakkhā hai
tumhārā zikr yuuñ mujh se saare mahfil nahīñ hotā
tujhe hī DhūñDhtā rahtā maiñ apne aap meñ har-dam
sanam tū mere jīvan meñ agar shāmil nahīñ hotā
daġhā denā hī aadat ban ga.ī ho jis kī ai yaaro
bharose ke kabhī vo aadmī qābil nahīñ hotā
hamesha biij botā hai jo nafrat ke zamāne meñ
use 'santosh' jīvan meñ kabhī hāsil nahīñ hotā