ḳhirad ke jumla dasātīr se mukarte hue
phir aaj dil se lagā baiThe naam barte hue
sadā.eñ do ki koī kārvān-e-ġham Thahre
hameñ to raas na ā.eñge din sañvarte hue
jo mahv-e-raqs rahe rañg-o-nūr ke chau gird
bikhar ga.e haiñ tirī lau kā tauf karte hue
vo taḳht-e-jāñ thā jahāñ terī tāj-poshī kī
so kis jigar se tujhe dekh luuñ utarte hue
huā thā hukm-e-safar dil magar thā rū-gardāñ
so rah meñ baiTh rahe dil pe dosh dharte hue
tumhāre naam ke hijje sañvār kar us meñ
ab apnā naam milā.eñge rañg bharte hue
junūñ pe ta.an kareñ pārsā.ī ke vaa.iz
havas ke kūcha-e-rañgīn se guzarte hue
sahar qarīb huī aao aañkh meñ bhar leñ
ye paara paara tamannā.eñ ḳhvāb marte hue