seemab zafar

kaun darwaza khula rakhta barae intizar

seemab zafar

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1985
kaun darvāza khulā rakhtā barā.e intizār
raat gahrī ho chalī rahrav abas hai kal pukār
aañkh jal jaatī hai lekin ḳhvāb jhulsātī nahīñ
surma.ī Dherī kī ḳhunkī se janam legī bahār
kaun dasht-e-karb ke āzār kā aadī huā
kaun jā paayā hai bahr-e-dard kī maujoñ ke paar
rañj meñ lipTā rahā mahtāb kā ġhamgīñ badan
raat Tairis par koī sajde maiñ royā zār-zār
ab kisī shikve-gile kī koī gunjā.ish nahīñ
aap apne haath se sauñpā thā us ko iḳhtiyār
kaifiyat kī pūchh mat hamdam ki lutf-e-qurb se
aaj kuchh baḌh kar hai apne andarūñ bahtā ḳhumār
shāhzādī rauzan-e-zindāñ se rah taktī rahī
shahr kī raḳhshandagī meñ kho gayā ik shahsavār
ik nazar kā mo.ajiza mere qalam kā sab hunar
ik sunahrī dhyān se barsī hai nazmoñ kī phuvār
Top Urdushayar.com