seemab zafar

kucha-ha-e-dil-o-jaan ki tira-shabo aas marti nahin

seemab zafar

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1985
kūcha-hā-e-dil-o-jāñ kī tīra-shabo aas martī nahīñ
āḳhirī saañs bharte sitāro suno aas martī nahīñ
chashm-e-giryāñ zarā tham bhī jā ashk meñ dil bhī bah jā.egā
sabr sahrā-e-vahshat ke mātam-garo aas martī nahīñ
dard uThne se dil ke sharāre kahāñ bujh sake haiñ kabhī
laakh raushan nigāhoñ meñ ḳhuuñ lā bharo aas martī nahīñ
vālī-e-shahr naġhmoñ kā qātil bajā par hameñ ġham hai kyā
fikr zinda ho jab tak mire shā.iro aas martī nahīñ
tum se pahle bhī ḳhvāboñ kī gardan uḌāne baḌe aa.e the
sar kaTe ḳhvāb chillā uThe dosto aas martī nahīñ
raakh bin jal bujhe par ye dil se dhuāñ ab bhī uThtā hai kyuuñ
aañkh meñ dekhne kī sakat ho na ho aas martī nahīñ
Top Urdushayar.com