jo apne ghar ko ka.aba mānte haiñ
pas-e-dīvār phir kyuuñ jhāñkte haiñ
nahīñ tere junūñ par shak nahīñ hai
tirī aadat magar pahchānte haiñ
ye āzurda-jabīñ maazī ke baasī
na.e zaḳhmoñ pe yādeñ bāñdhte haiñ
tire ahl-e-yaqīñ sajdoñ meñ jhuk kar
mire kāfir tirā ġham māñgte haiñ
ridā-e-shab to abr-e-tar se bhīgī
chalo ik dhyān sar par tānte haiñ
sitāre zabt ke motī hazar ke
qabā-e-ārzū par Tāñkte haiñ
tirī khoTī hañsī par rone vaale
tirī āñkhoñ ke mausam jānte haiñ