seemab zafar

zat ki diwar bichon-bich ek dar wa hua

seemab zafar

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1985
zaat kī dīvār bīchoñ-bīch ik dar vā huā
āḳhirī lamhoñ meñ gar ho bhī gayā to kyā huā
raqs meñ mad.hosh ġhauġhā-e-surūd-o-lai meñ gum
kaun hai ye shiddat-e-āzār se hañstā huā
terī merī aañkh kī miTTī hamesha nam rahe
ho abad se bhī pare ruḳhsat kā pul phailā huā
ba.ad az yak saa.at ḳhāmosh mātam ḳhatm shud
kyuuñ kisī ke sog meñ ruktā zamāñ chaltā huā
mere shānoñ par ridā-e-ābrū-e-ishq hai
bārish-e-nāmūs-e-ulfat meñ hai dil bhīgā huā
vo rukā ruk kar muḌā muḌ kar mirī jānib jhukā
umr kā dariyā vahīñ tham sā gayā bahtā huā
merī peshānī pe daa.eñ haath kī añgusht se
ek ḳhush-qāmat ne apnā naam hai likkhā huā
Top Urdushayar.com