seemab zafar

Talne ke nahin ahl-e-wafa KHauf-e-ziyan se

seemab zafar

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1985
Talne ke nahīñ ahl-e-vafā ḳhauf-e-ziyāñ se
ye bahs magar kaun kare ahl-e-zamāñ se
rag rag meñ ravāñ bahr-e-fuġhāñ chaḌh gayā lekin
vīrānī-e-jāñ kam to huī zikr-e-butāñ se
roġhan na safedī na marammat se milegā
ik pās-e-marātib ki gayā sab ke makāñ se
āzār-o-musībat se ilāqa hai purānā
rishta hai qadīmī mirā fariyād-o-fuġhāñ se
ghaav bhī zarā taak ke yāroñ ne lagā.e
kuchh dil ko bhī nisbat thī bahut nok-e-sināñ se
ik gosha-e-dil us ko dikhāne kā nahīñ ye
mahram nahīñ karnā use ik sirr-e-nihāñ se
sarsabz rahe zaḳhm-e-junūñ jis kī badaulat
ik rabt to qaa.em hai adū-e-dil-o-jāñ se
Top Urdushayar.com