vāqif haiñ ḳhū-e-yār se dekhe chalan tamām
yak aan ġhamza-zan kabhī shamshīr-zan tamām
kis soz-e-andarūn ne tujh ko kiyā figār
kis shaḳhs vāste hai dilā ye suḳhan tamām
gul-rañg-o-lāla-fām-o-shafaq-tāb-o-ḳhusha-izār
yak māh-e-nau se maañd hue sīm-tan tamām
so nāma-bar ko kaahe thamā.eñ payām ham
mastūr hai nigāh meñ apnā suḳhan tamām
rakkhā hai saiñt saiñt tirā dard dostā
garche naqab lagāyā kiye rāhzan tamām
bas ai jamāl-e-yār tirā iltifāt thā
joñ vā huā nigāh pe bāġh-e-adan tamām
haa.e vo pal na rok sake ashk-e-lāla-gūñ
ahvāl-e-shauq jaan ga.ī anjuman tamām