seemab zafar

yahi Thahra ki ab us or jaana bhi nahin hai

seemab zafar

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1985
yahī Thahrā ki ab us or jaanā bhī nahīñ hai
ye duujī baat vo kūcha bhulānā bhī nahīñ hai
būe-e-sad-gul meñ bhīge ho nahā.e ho dhanak meñ
mohabbat kar rahe ho aur batānā bhī nahīñ hai
darūn-e-dil hī rakkho vaañ hifāzat meñ rahegā
vo ik rāz-e-nahufta jo chhupānā bhī nahīñ hai
na bārāñ hai nahīñ tūfāñ na jhakkaḌ hai na sarsar
mirī zambīl meñ ab ik bahānā bhī nahīñ hai
ilāqa sabz hai merā mohabbat ke shajar se
ka.ī sadiyoñ pe phailā hai purānā bhī nahīñ hai
havā de aañch dhīmī rakh sulagne de junūñ ko
ye sho.ala narm rakhnā hai jalānā bhī nahīñ hai
agarche dard kī tarsīl kā vāhid hai baa.is
junūñ pesha ne terā ġham gañvānā bhī nahīñ hai
ajab ik dhūp-chhāñv sī rachā rakhī hai tū ne
nahīñ hotā mirā lekin bigāna bhī nahīñ hai
sameTā jaa.e sad-pāra jigar yaaro ki ham ne
tamāshā-e-dil-e-ḳhasta manānā bhī nahīñ hai
Top Urdushayar.com