khoT kī maalā jhuuT jaTā.eñ apne apne dhyān
apnā apnā mandir mimbar apne rab bhagvān
ghar jaane kī koī duujī raah nikālī jaa.e
aan ke rah meñ baiTh gayā hai ik jogī anjān
zaḳhmī sūraj zahr meñ bhīgī lo pyāse panchhī
TuuTī bikhrī hijr-galī meñ kuchh shāḳheñ be-jān
apne dukh kā ghūñT galā aur yaar ke aañsū oḌh
un āñkhoñ ke dard se baḌh kar kyā hogā nuqsān
siskī ko bahlā lenā hichkī ko sahlānā
umr gañvā kar miltā hai ye fan mere nādān
ḳhāmoshī kī kaThinā.ī meñ chup kī biptā meñ
us āvāz kā shahd ghule to mil jaa.e nirvān
jaanā dekh aanā kuchh rañg abhī bahtā hogā
shahr ke chaurāhe meñ kal ik ḳhvāb huā qurbān
ūñche nīche daa.eñ baa.eñ miTTī ke Tiile
āshāoñ ke sard badan bhītar kā qabristān
aayat aayat nuur kā paikar harf harf mahkār
do 'sīmāb' sifat hoñToñ par thī suura rahmān