Kausar Niyazi

zamin ki god mein baiTha humak raha hun main

Kausar Niyazi

Mianwali, Punjab, Pakistan

zamīñ kī god meñ baiThā humak rahā huuñ maiñ
falak pe chāñd kī jānib lapak rahā huuñ maiñ
nahīñ hai apnī zamīñ kī koī ḳhabar lekin
ḳhalā meñ duur kisī shai ko tak rahā huuñ maiñ
nahā gayā huuñ ḳhud apne lahū meñ sar-tā-pā
junūñ kī aag meñ lekin dahak rahā huuñ maiñ
agarche zulmat-e-shab meñ kamī nahīñ aa.ī
misāl-e-māh-e-daraḳhshāñ chamak rahā huuñ maiñ
har ek samt badaltī rutoñ kā mātam hai
shagufta ġhunche kī sūrat chaTak rahā huuñ maiñ
parakhne vaale mujhe dekh is tarah bhī zarā
agar hai khoT to kaise chamak rahā huuñ maiñ
girī hī jaatī hai dīvār-e-girya har lahza
kisī kī aañkh se shāyad Dhalak rahā huuñ maiñ
tamām shahr ne dīdār kar liyā 'kausar'
ab apnī laash ke chehre ko Dhak rahā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com