sho.ala hī sahī aag lagāne ke liye aa
phir nuur ke manzar ko dikhāne ke liye aa
ye kis ne kahā hai mirī taqdīr banā de
aa apne hī hāthoñ se miTāne ke liye aa
ai dost mujhe gardish-e-hālāt ne gherā
tū zulf kī kamlī meñ chhupāne ke liye aa
dīvār hai duniyā ise rāhoñ se haTā de
har rasm-e-mohabbat ko miTāne ke liye aa
matlab tirī aamad se hai darmāñ se nahīñ hai
'hasrat' kī qasam dil hī dukhāne ke liye aa