jab ziist ke mushkil lamhoñ meñ apne bhī kinārā karte
us vaqt bhī ham ai ahl-e-jahāñ hañs hañs ke guzārā karte haiñ
sayyād ne tere asīroñ ko āḳhir ye kah kar chhoḌ diyā
ye log qafas meñ rah kar bhī gulshan kā nazārā karte haiñ
jazbāt meñ aa kar marnā to mushkil sī koī mushkil hī nahīñ
ai jān-e-jahāñ ham tere liye jiinā bhī gavārā karte haiñ
mañjdhār meñ naav Duub ga.ī to maujoñ se āvāz aa.ī
dariyā-e-mohabbat se 'kausar' yuuñ paar utārā karte haiñ