Renu Nayyar

KHuda se use mang kar dekhte hain

Renu Nayyar

ḳhudā se use maañg kar dekhte haiñ
phir apnī duā kā asar dekhte haiñ
hamīñ haiñ musāfir hamīñ ābla-pā
tamāsha ai gard-e-safar dekhte haiñ
faqīrī faqīrī faqīrī faqīrī
na jannat na duniyā na ghar dekhte haiñ
idhar aa ai husn-e-tamannā idhar aa
nazar bhar tujhe ik nazar dekhte haiñ
kisī aks meñ ab vo bāñdheñge mujh ko
churā kar nazar shīshagar dekhte haiñ
na jaane kahāñ miT ga.e naqsh-e-jāñ
chalo aaj phir soch kar dekhte haiñ
hamāre hī ghar se nikaltā hai aksar
jise log shām-o-sahar dekhte haiñ
kaḌā imtihāñ chaak par thā nazar kā
abhī tak vo raqs-e-hunar dekhte haiñ
Top Urdushayar.com