shīsha-sifat the aap aur shīsha-sifat the ham
bikhre hue se aap haiñ bikhre hue se ham
us ne thamā dī haath meñ ik bāñsurī hameñ
patthar uThā ke haath meñ dene lage the ham
maujūd hai tirī tarah vo paas bhī nahīñ
kaise kaheñ ye baat ab pāgal havā se ham
har shaḳhs thā tirī taraf terī hī bazm thī
kis ko sunāte phir tire qisse jafā ke ham
terī kisī murād kī ḳhātir mire raqīb
gir jaa.eñ āsmān se haiñ vo sitāre ham