Renu Nayyar

charagh-e-zist maddham hai abhi tu nam na kar aankhen

Renu Nayyar

charāġh-e-zīst maddham hai abhī tū nam na kar āñkheñ
abhī ummīd meñ dam hai abhī tū nam na kar āñkheñ
kabhī to vasl kī chāragarī bhī kaam aa.egī
abhī to hijr marham hai abhī tū nam na kar āñkheñ
abhī to sāmne baiThī huuñ bilkul sāmne tere
abhī kis baat kā ġham hai abhī tū nam na kar āñkheñ
abhī jo fikr hai terī use sābit to hone de
abhī yāroñ meñ dam-ḳham hai abhī tū nam na kar āñkheñ
sarāboñ se abhī ummīd ke jharne nahīñ phūTe
ajab tishna sā aalam hai abhī tū nam na kar āñkheñ
bahāreñ hoñ na hoñ phir bhī chaman ḳhālī nahīñ rahtā
ye mausam ġham kā mausam hai abhī tū nam na kar āñkheñ
abhī manzar badalte hī badal jā.eñge sab chehre
bichhaḌte vaqt kā ġham hai abhī tū nam na kar āñkheñ
abhī ai bulbulo gaao na naġhme tum bahāroñ ke
abhī to lutf-e-paiham hai abhī tū nam na kar āñkheñ
Top Urdushayar.com