duniyā ko har chiiz dikhā.ī jā saktī hai
patthar meñ bhī aañkh banā.ī jā saktī hai
dil kī miTTī kī zarḳhezī aisī hai ki
kaisī bhī ho chiiz ugaa.ī jā saktī hai
hijr kā mausam vo mausam hai jis meñ jānāñ
āñkhoñ meñ bhī raat bitā.ī jā saktī hai
patthar ko Thokar kī had tak tum na jaano
patthar se to aag lagā.ī jā saktī hai
ḳhud ke hone kā ehsās dilātā hai vo
is Dar se ke us kī ḳhudā.ī jā saktī hai
dil kī baazī aisī baazī hai jis meñ ham
hāreñ bhī to jiit manā.ī jā saktī hai
mujh ko saare naqsh adhūre dikhte haiñ ab
ya.anī mujh pe gaaj girā.ī jā saktī hai