Davarka Das Shola

ek rahzan ko amir-e-karwan samjha tha main

Davarka Das Shola

Lahore, Punjab, Pakistan

1910
ek rahzan ko amīr-e-kārvāñ samjhā thā maiñ
apnī bad-baḳhtī ko manzil kā nishāñ samjhā thā maiñ
terī ma.asūmī ke sadqe merī mahrūmī kī ḳhair
ai ki tujh ko sūrat-e-ārām-e-jāñ samjhā thā maiñ
dushman-e-dil dushman-e-dīñ dhushman-e-hosh-o-havās
haa.e kis nā-mehrbāñ ko mehrbāñ samjhā thā maiñ
dost kā dar aa gayā to ḳhud-baḳhud jhukne lagī
jis jabīñ ko be-niyāz-e-āstāñ samjhā thā maiñ
qāfile kā qāfila hī raah meñ gum kar diyā
tujh ko to zālim dalīl-e-rah-ravāñ samjhā thā maiñ
mere dil meñ aa ke baiThe aur yahīñ ke ho ga.e
aap ko to yūsuf-e-be-kārvāñ samjhā thā maiñ
ik daroġh-e-maslahat-āmez thā terā sulūk
ye haqīqat thī magar ye bhī kahāñ samjhā thā maiñ
zindagī in.ām-e-qudrat hī sahī lekin ise
kyā ġhalat samjhā agar yār-e-garāñ samjhā thā maiñ
pher thā qismat kā vo chakkar thā mere paañv kā
jis ko 'sho.ala' gardish-e-haft-āsmāñ samjhā thā maiñ
Top Urdushayar.com