Davarka Das Shola

meri be-qarari meri aah-o-zari ye wahshat nahin hai to phir aur kya hai

Davarka Das Shola

Lahore, Punjab, Pakistan

1910
mirī be-qarārī mirī āh-o-zārī ye vahshat nahīñ hai to phir aur kyā hai
pareshāñ to rahnā magar kuchh na kahnā mohabbat nahīñ hai to phir aur kyā hai
ġham-e-zindagī nāla-e-sub.h-gāhī mire shaiḳh sāhab kī vaahī tabāhī
agar un ke hote vajūd-e-ilāhī haqīqat nahīñ hai to phir aur kyā hai
tirī ḳhud-pasandī mirī vaz.a-dārī tirī be-niyāzī mirī dost-dārī
junūn-e-muravvat ba-har-rañg taarī musībat nahīñ hai to phir aur kyā hai
ġharīboñ ko bad-hāl-o-majbūr rakhnā unheñ fikrmand aur ranjūr rakhnā
unheñ apnā kahnā magar duur rakhnā ye hikmat nahīñ hai to phir aur kyā hai
tirī raah meñ har qadam jaan denā musībat bhī aa.e to sar apne lenā
mohabbat kī kashtī ba-har-hāl khenā rifāqat nahīñ hai to phir aur kyā hai
Top Urdushayar.com