Davarka Das Shola

nahin kahte kisi se haal-e-dil KHamosh rahte hain

Davarka Das Shola

Lahore, Punjab, Pakistan

1910
nahīñ kahte kisī se hāl-e-dil ḳhāmosh rahte haiñ
ki apnī dāstāñ meñ tere afsāne bhī aate haiñ
vo jin par faḳhr hai farzāngī ko nukta-dānī ko
tirī mahfil meñ aise chand dīvāne bhī aate haiñ
adab kartā huuñ masjid kā vahāñ har roz jaatā huuñ
ki us kī raah meñ do-chār maiḳhāne bhī aate haiñ
hamāre mai-kade meñ mai bhī hai īmāñ kī bāteñ bhī
yahīñ to ek sāhab va.az farmāne bhī aate haiñ
na ghabrā chāhne vāloñ se ye to ain-e-fitrat hai
ki sham.a nūr-afshāñ ho to parvāne bhī aate haiñ
Top Urdushayar.com