zindagī kyā hai ibtilā ke sivā
shikva-e-dard-e-lā-davā ke sivā
terī duniyā meñ kyā nahīñ miltā
ik dil-e-dard-āshnā ke sivā
chāra-e-dard-e-zindagī kyā hai
āh-e-jāñ-kāh-o-iltijā ke sivā
kuchh nahīñ iḳhtiyār meñ apne
bandagī ke sivā duā ke sivā
maiñ ne har baat un se kah Daalī
lekin ik harf-e-mudda.ā ke sivā
merī imdād sab ne farmā.ī
vā.iz-o-zāhid-o-ḳhudā ke sivā
kaun samjhegā in haqā.eq ko
'sho.ala'-e-riñd-e-pārsā ke sivā