ġham ko vaj.h-e-hayāt kahte haiñ
aap bhī ḳhuub baat kahte haiñ
aap se hai vo yā hamīñ se hai
ham jise kā.enāt kahte haiñ
kor-zauqī kī intihā ye hai
log din ko bhī raat kahte haiñ
ye ġhalat kyā hai tajarbe ko agar
hāsil-e-hādsāt kahte haiñ
bach nikalnā fareb-e-hastī se
bas isī ko najāt kahte haiñ
jis mohabbat pe hai madār-e-hayāt
us ko bhī be-sabāt kahte haiñ
vo mire sher hī to haiñ 'sho.ala'
jin ko qand-o-nabāt kahte haiñ