insāñ ba-yak nigāh burā bhī bhalā bhī hai
ya.anī vo musht-e-ḳhāk to hai kīmiyā bhī hai
ai ġham-nasīb kis se hai mumkin tirā ilaaj
ai bad-nasīb tere maraz kī davā bhī hai
kyuuñ kar kaheñ ki jis ko ḳhudā.ī na thī qubūl
vo be-niyāz aap ke dar kā gadā bhī hai
tere vajūd se bhalā inkār ho kise
ai tū ki zarre zarre meñ jalva-numā bhī hai
banda-navāziyoñ pe na itrā.iye bahut
banda-navāz aap se baḌh kar ḳhudā bhī hai
sho.ala se duur rahiye ki shā.ir sahī magar
ziddī hai bevaqūf hai dil kā burā bhī hai