Davarka Das Shola

zist be-waada-e-anwar-e-sahar hai ki jo thi

Davarka Das Shola

Lahore, Punjab, Pakistan

1910
ziist be-va.āda-e-anvār-e-sahar hai ki jo thī
zulmat-e-baḳht ba-har-rañg-o-nazar hai ki jo thī
ishq barbād-kun-e-rāhat-e-dil hai ki jo thā
shoḳhī-e-dost ba-andāz-e-digar hai ki jo thī
aaj bhī koī nahīñ pūchhtā ahl-e-dil ko
aaj bhī zillat-e-arbāb-e-nazar hai ki jo thī
ḳhud-parastī kā rivāj aaj bhī hai aam ki thā
rāstī aaj bhī mohtāj-e-asar hai ki jo thī
aaj bhī jazba-e-iḳhlās pareshāñ hai ki thā
aaj bhī dīda-varī ḳhāk-basar hai ki jo thī
aaj bhī ilm-o-hunar kī nahīñ koī vaq.at
ab bhī nā-qadrī-e-as.hāb-e-hunar hai ki jo thī
aaj bhī mehr-o-vafā kī nahīñ qīmat koī
aaj bhī manzilat-e-kīsa-e-zar hai ki jo thī
kāmrānī pe hai nāzāñ havas-e-hech madār
āshiqī aaj bhī bā-dīda-e-tar hai ki jo thī
rūh-e-iḳhlās to dar-band hai be-pursish-e-hāl
midhat-e-husn sar-e-rāhguzar hai ki jo thī
sāf-goī ko samajhte haiñ yahāñ aib ab bhī
zehniyat aaj bhī ālūda-e-shar hai ki jo thī
asp-e-tāzī ko mayassar nahīñ chārā 'sho.ala'
aur tan-zebī-o-ārā.ish-e-ḳhar hai ki jo thī
Top Urdushayar.com