dekh jurm-o-sazā kī baat na kar
mai-kade meñ ḳhudā kī baat na kar
maiñ to be-mehriyoñ kā aadī huuñ
mujh se mehr-o-vafā kī baat na kar
shauq-e-be-mudda.ā kā maarā huuñ
shauq-e-be-mudda.ā kī baat na kar
vo to muddat huī ki TuuT gayā
mere dast-e-duā kī baat na kar
jo nahīñ iḳhtiyār meñ mere
us but be-vafā kī baat na kar
ishq kī intihā ko dekh zarā
ishq kī ibtidā kī baat na kar
kyā milā fikr kī rasā.ī se
merī fikr-e-rasā kī baat na kar
is kī taqdīr meñ ḳharābī thī
is dil-e-mubtalā kī baat na kar
jo bhī honā thā ho gayā 'sho.ala'
karam-e-nāḳhudā kī baat na kar