Davarka Das Shola

dil-e-be-muddaa ka muddaa kya

Davarka Das Shola

Lahore, Punjab, Pakistan

1910
dil-e-be-mudda.ā kā mudda.ā kyā
use yaksāñ ravā kiyā nāravā kyā
jinheñ har saañs bhī ik marhala hai
unheñ raas aa.e duniyā kī havā kyā
koī suntā nahīñ hai muflisoñ kī
ġharīboñ kā payambar kyā ḳhudā kyā
nigāh-e-dost meñ jachtā nahīñ jab
to phir maiñ kyā mirā zehn-e-rasā kyā
baḌā achchhā kiyā aaj aa ga.e tum
chalo chhoḌo na aa.e kal huā kyā
jo ḳhud dast-e-talab phailā rahā ho
sakhī bhī ho to us kā aasrā kyā
agar majbūr hai jiine par insāñ
to phir kaise kaTe ye sochnā kyā
Top Urdushayar.com