apnoñ ke sitam yaad na ġhairoñ kī jafā yaad
vo hañs ke zarā bole to kuchh bhī na rahā yaad
kyā lutf uThā.egā jahān-e-guzarāñ kā
vo shaḳhs ki jis shaḳhs ko rahtī ho qazā yaad
ham kaag uḌā dete haiñ botal kā usī vaqt
garmī meñ bhī aa jaatī hai jab kaalī ghaTā yaad
mahshar meñ bhī ham terī shikāyat na kareñge
aa jā.egī us din bhī hameñ shart-e-vafā yaad
pī lī to ḳhudā ek tamāshā nazar aayā
aayā bhī to aayā hameñ kis vaqt ḳhudā yaad
allāh tirā shukr ki ummīd-e-karam hai
allāh tirā shukr ki us ne bhī kiyā yaad
kal tak tire baa.is maiñ use bhūlā huā thā
kyuuñ aane lagā phir se mujhe aaj ḳhudā yaad