merī manzil kahāñ hai kyā ma.alūm
intihā ġham hai ibtidā ma.alūm
tum nahīñ mere ab ye raaz khulā
maiñ tumhārā huuñ ab huā ma.alūm
dil kī parvā kare koī kab tak
chāhtā kyā hai ye ḳhudā ma.alūm
duur se gul ko dekhnā kyā hai
yuuñ to hotā hai ḳhushnumā ma.alūm
paas aa.e to asl husn khule
duur kī chiiz rāz-e-nā-ma.alūm
tum ko chāhā baḌā qusūr kiyā
sahv zāhir hai aur ḳhatā ma.alūm
baat bantī nazar nahīñ aatī
un ke tevar se ho gayā ma.alūm
vaz.a-dārī se chup rahūñ varna
hai mujhe raaz aap kā ma.alūm
kaun hai jis ko ḳhū-e-e-maulā kā
rāz-e-sar-basta ho sakā ma.alūm
is qadar jald maut aa.egī
haa.e insāñ ko ye na thā ma.alūm
maiñ vafā bhī karūñ gile bhī karūñ
mujh ko hotā hai ye burā ma.alūm
kyā kaheñ kis liye rahe ma.atūb
ham ko ab tak nahīñ ḳhatā ma.alūm
chal ke 'sho.ala' se pūchhiye kyūñkar
jurm sābit huā sazā ma.alūm