zarā nigāh uThāo ki ġham kī raat kaTe
nazar nazar se milāo ki ġham kī raat kaTe
ab aa ga.e ho to mere qarīb aa baiTho
duī ke naqsh miTāo ki ġham kī raat kaTe
shab-e-firāq hai sham-e-umīd le aao
koī charāġh jalāo ki ġham kī raat kaTe
kahāñ haiñ sāqī-o-mutrib kahāñ hai pīr-e-haram
kahāñ haiñ sab ye bulāo ki ġham kī raat kaTe
kahāñ ho mai-kade vaalo zarā idhar aao
hameñ bhī aaj pilāo ki ġham kī raat kaTe
nahīñ kuchh aur jo mumkin to yaar 'shola' kī
koī ġhazal hī sunāo ki ġham kī raat kaTe