Farooq Engineer

baat mein kuchh magar bayan mein kuchh

Farooq Engineer

Shekhawati, Rajasthan, India

1960
baat meñ kuchh magar bayān meñ kuchh
rañg badlā har ek aan meñ kuchh
yuuñ hī qaa.em nahīñ hai ye duniyā
log achchhe haiñ is jahān meñ kuchh
marsiya ho gayā charāġhoñ kā
jab bhī likkhā havā kī shaan meñ kuchh
qatl hone haiñ sab ke sab kirdār
moḌ aise haiñ dāstān meñ kuchh
us ko dekhā milī palak se palak
jaan sī aa ga.ī hai jaan meñ kuchh
sirf lutf-e-safar kī baat nahīñ
ab maza bhī kahāñ thakān meñ kuchh
sab samajhtā hai apne matlab kī
koī bole kisī zabān meñ kuchh
kyā bharosa hai us kā ai 'fārūq'
aan meñ kuchh hai aur aan meñ kuchh
Top Urdushayar.com