mujh ko shām-e-hijr kī ye jalva-ārā.ī bahut
mahkī mahkī yaad terī aur tanhā.ī bahut
umr bhar Dartā rahā kam-zarfī-e-ehsās se
un ke pahlū meñ bhī merī ruuh ghabrā.ī bahut
Duub kar un jhiil sī āñkhoñ meñ jab ġhazleñ kahīñ
mere in sheroñ meñ tab aa.ī hai gahrā.ī bahut
ham hī kyuuñ terī mohabbat meñ tamāshā ban ga.e
is hayāt-e-rañg-o-bū meñ the tamāshā.ī bahut
rafta rafta us galī meñ be-jhijak jaane lagā
pahle pahle to mujhe thā ḳhauf-e-rusvā.ī bahut
vo khanakte gungunāte jhūmte gaate badan
ahd-e-pīrī meñ javānī ham ko yaad aa.ī bahut
dahkī dahkī aag sī āñchal meñ thī shāyad 'shahāb'
paas se vo shoḳh jab guzrā to aañch aa.ī bahut