bharā ghar hai koī sahrā nahīñ hai
yahāñ lekin koī apnā nahīñ hai
ġhazab hai ho gayā bargad bhī īñdhan
buzurgoñ kā kahīñ saaya nahīñ hai
musībat meñ bhī dāmān-e-sharāfat
hamāre haath se chhūTā nahīñ hai
tamāshā.ī huuñ yuuñ apne ġhamoñ kā
ki jaise dard-o-ġham dekhā nahīñ hai
mohabbat kī kiran phūTī hai dil se
kitāboñ se use sīkhā nahīñ hai
yahī ehsās dil ko Das rahā hai
tū merā ho ke bhī merā nahīñ hai
'shahāb' ash.ār tere paḌh ke dekhe
haqīqat hai koī qissa nahīñ hai