Saim Ji

kabhi zuhur mein aa ja kamal hone de

Saim Ji

Mianwali, Punjab, Pakistan

1983
kabhī zuhūr meñ aa jā kamāl hone de
junūñ ko bāñdh na mere dhamāl hone de
jo ḳhud-kushī bhī karūñgā nahīñ marūñgā maiñ
kuchh is tarah se tū apnā visāl hone de
kahīñ to rakh le mujhe bhī mirī mohabbat bhī
ki apne dil meñ basā le nihāl hone de
maiñ ḳhud se laḌne kī rut meñ tumhārā sāthī huuñ
mujhe vajūd meñ ugne de Dhaal hone de
ḳhudā-e-vasl Thahar jā abhī taḌapne de
machal machal ke zuleḳhā sā haal hone de
sila zarūr hai 'sā.im-jī' hijr rātoñ kā
kisī kī yaad meñ āñkheñ to laal hone de
Top Urdushayar.com