Saim Ji

dayar-e-dil se kisi ka guzar zaruri tha

Saim Ji

Mianwali, Punjab, Pakistan

1983
dayār-e-dil se kisī kā guzar zarūrī thā
ujaaḌ raste pe koī shajar zarūrī thā
zarā sī der meñ bujhne ko thā magar us dam
diye ko chaltī havā kā samar zarūrī thā
agar na hote ye duniyā isī tarah chaltī
hamārā honā jahāñ meñ magar zarūrī thā
nazar meñ sher sajāte ġhazal samā.at meñ
suḳhan ke shahr meñ aisā nagar zarūrī thā
hamāre dil meñ rahī hai bas ek hī ḳhvāhish
dayār-e-yār meñ apnā bhī ghar zarūrī thā
chhalak rahī haiñ mire rome rome se ḳhushiyāñ
tumhārī bazm kā kuchh to asar zarūrī thā
Top Urdushayar.com