Saim Ji

nahin hai yaad ki wo yaad kab nahin aaya

Saim Ji

Mianwali, Punjab, Pakistan

1983
nahīñ hai yaad ki vo yaad kab nahīñ aayā
use bhulā ke maiñ jī luuñ ye Dhab nahīñ aayā
ye sab ġhalat hai ki suntā nahīñ kisī kī vo
ye sach nahīñ ki pukārā to rab nahīñ aayā
vo yuuñ to aatā hai jaatā hai merī sāñsoñ meñ
bulāyā vaise use jab vo tab nahīñ aayā
kisī ko rizq na pahuñchā ho shaam se pahle
abhī zamīn pe aisā ġhazab nahīñ aayā
maiñ be-lihāz huuñ shāyad tabhī akelā huuñ
mire mizāj meñ ab tak adab nahīñ aayā
bhulā chukā huuñ maiñ 'sā.im' hazār bātoñ ko
rahā hai yaad bas itnā vo jab nahīñ aayā
Top Urdushayar.com