muḳhtasar vaqt hai par bāteñ kar
zindagī beach safar bāteñ kar
aa kabhī hujra-e-dil meñ mere
raat ke pichhle pahar bāteñ kar
chal chalā jā.ūñ tujhe le kar maiñ
phir kisī ḳhvāb-nagar bāteñ kar
chhoḌ kar duniyā-o-dīñ kī bāteñ
hai to dushvār magar bāteñ kar
lam-yazal sher kī sūrat tū bhī
masnad-e-dil pe utar bāteñ kar
zindagī raqs meñ hai merī jaañ
baiTh jā shor na kar bāteñ kar
tere ehsās ko tasvīr karūñ
ab to kāġhaz pe ubhar bāteñ kar
guftugū tujh se karūñ aise meñ
khulne lagtā hai hunar bāteñ kar
baat kā izn diyā jab us ne
phir tujhe kis kā hai Dar bāteñ kar
terī takmīl huā chāhtī hai
chaak se ab tū utar bāteñ kar