Saim Ji

bar-sar-e-dard zamane ka bhi socha jae

Saim Ji

Mianwali, Punjab, Pakistan

1983
bar-sar-e-dard zamāne kā bhī sochā jaa.e
phir nayā qarz uThāne kā bhī sochā jaa.e
sāmne chāñd hai par aur koī chāra nahīñ
chashm-e-namnāk churāne kā bhī sochā jaa.e
hiddat-e-husn-e-nazar se bhī bachā kar ḳhud ko
ishq meñ risk uThāne kā bhī sochā jaa.e
ḳhvāb se lipTī hue yaad ke saada lamho
dard ke haath na aane kā bhī sochā jaa.e
ishq to yaar adāoñ ko nigal jaatā hai
husn-e-bebāk bachāne kā bhī sochā jaa.e
cigareteñ phūñk ke kuchh jaam chaḌhā kar jānāñ
kuchh tirā hijr manāne kā bhī sochā jaa.e
Top Urdushayar.com