pahle jo ham chale to faqat yaar tak chale
phir fan se le ke hujra-e-fankār tak chale
but-ḳhāna-e-jahān se inkār hai mujhe
lekin vo kyā hue the jo inkār tak chale
mahv-e-ḳhayāl terī tajallī meñ kyā hue
muusā bhī koh-e-tūr ke asrār tak chale
ramz-e-ḳhudā kī ramz bharī raushnī miyāñ
maiñ chāhtā to huuñ mire kirdār tak chale
kuchh rabt husn-e-yār kī tāza-garī se ho
āñkhoñ se ho ke silsila iz.hār tak chale
karbal kī ḳhaak se jo mirī ḳhaak jā mile
phir ḳhaak merī markaz-e-anvār tak chale
yādoñ se bach nikalne kā rasta nahīñ milā
masjid se le ke husn ke bāzār tak chale