zehn meñ ho koī manzil to nazar meñ le jā.ūñ
rāh-rau ke na agar gard safar meñ le jā.ūñ
dil se bach jaa.eñ agar dāġh-e-jigar meñ le jā.ūñ
kyuuñ charāġhoñ ko sar-e-shām sahar meñ le jā.ūñ
koī aahaT na koī aks na manzar na havā
kis ko mahsūs karūñ kis ko ḳhabar meñ le jā.ūñ
bām-o-dar par nazar aate haiñ thakan ke āsār
apnā ye bojh kisī dūsre ghar meñ le jā.ūñ
aur kuchh ḳhuun ho ḳhush-rañg to dil meñ rokūñ
aur kuchh ḳhaak ho pāmāl to sar meñ le jā.ūñ
jalte manzar se judā honā paḌegā kuchh ko
tishnagī tujh ko agar dīda-e-tar meñ le jā.ūñ