vo ham se kyuuñ alag thā kyuuñ dukhī thā
hamāre zehn meñ jo aadmī thā
patā detīñ mirā kyā shāhrāheñ
makāñ merā galī-andar-galī thā
hazāroñ maiñ chhupe the mujh meñ phir bhī
nazar meñ aa.ine ke ek hī thā
hare pattoñ se shabnam kī judā.ī
yahī āġhāz-e-sub.h-e-tishnagī thā
ġhurūr-e-sub.h kyā mujh ko dikhātā
lahū kī shaam meñ maiñ dīdanī thā
añdhere jhaaḌ kar dāman se apne
uThā to raushnī hī raushnī thā