mire mizāj ko sūraj se joḌtā kyuuñ hai
maiñ dhuup huuñ mujhe nāhaq sikoḌtā kyuuñ hai
agar ye sach hai ki tū merā ḳhvāb hai to batā
ki aañkh lagte hī mujh ko jhiñjhoḌtā kyuuñ hai
udhar bhī tū hai idhar bhī jo sirf tū hī hai
to phir ye biich kī dīvār toḌtā kyuuñ hai
maiñ tere va.ade ko jab āñsuoñ se dhotī huuñ
har ek lafz tirā rañg chhoḌtā kyuuñ hai
magar ye dil hai ki kyā jaane terī bātoñ se
tarah tarah ke bahāne nichoḌtā kyuuñ hai